2 Line Poetry in Urdu
Assalam u Alikum Dosto yaha par aap ko har tarah ki 2 line poetry in urdu main dhaikne ko mile gy. Dosto agar aap kisi bi tarah ki Urdu poetry hasil karna chahte hain or wo bi 2 line wali urdu poetry to ye Article aap kaliye bohat zayada best hai. is Article main aap ko bohat achi achi poetry milay gy 2 line main.
2 Line Love Poetry in Urdu
1
Wo mairi rooh ki chaadar main aa kay chup gaiya aisay
k rooh niklay to wo nikle jab wo nikle to rooh nikle
2
main nay us se juda ho k bi dhaika hai
Mohabat barne k siwa kuch bi nahy howa
3
Khud ko tarteeb dai rahi hon
maire andar bs gae ho tum
4
Mujey 2 logo se pyar hai
aik apne aap se or aik apni ami k damaad se
5
Nahi utati nazar kisi or ki taraf
paband kar diya tairi mohabat nay mujey
6
bi mangay haath par rakh dy khushiya saari
itna meharban tum par maira Rab ho gae
7
Tum kabi samne aa kar bhaito or phr
Ankh or Zabt ka Jagra Dhaiko
8
Tumari dil khashi maire liye hai
main jo kuch hon tumare hi liye hon
9
bs tumain na sochon to bach sakta hon
Tabeeb nay ye akhri dawa haath jor k batae hai
10
khayal rakha kro apna
bohat dua say manga hai tumain
11
q dar se close karte ho ankhain
yaqeen karo koi chomne se nahy marta
12
Ashiqi main bohat zarori hai
Bai wafai kabi kabi karna
13
ye jo mairi jaan jae gy na taire ishq main
samaj laina taira sadqa diya hai tairi nazar utari hai
14
Tum sath ho to muqadar par hakomat apni
bin taire zindagi ki oqat hi kya hai
15
Laine do mujey to apne khayalon ki talashi
mairi neend chori ho gae hai or mujey shaq hai tum par
16
Taire dil main qaid hai mairi dharkan
dharaktay rehna warna mar jaon ga main
17
Kabi par to sahi mairi ankhon ko
yaha darya behta hai tairi mohabat ka
18
Uski mohabat ka silsala bi kya ajeeb ta
apna bi na banaya or kisi ka bi na hone diya
19
Mohabat karne ki tajarat bi anokhi hai
Manafa chor daite hain khasaray baant laite hain
20
G chahta hai usay dhaiko u hi umar bhar
koi talab na ho dil main uski talab k siwa
21
Qurbat to bari cheez hai ae jaan e tamana
is dil ki tasali ko taira naam bohat hai
22
Zarori nahy ishq main bahon ka sahara mile
kisi ko g bhar k mehsos kar laina bi mohabat hai
23
Bohat roka dil ko magar kaha tak rukta
mohabat barti gae Tumare Nakhro ki Tarah
24
Taire bagair bi ham
Taire hi rehte hain
25
Tairi Garift maira hosla barati hai
Mujey tum apni mohabat main mubtala rakhna
26
Toot jata hai wasta khud se
Tuj se jab raabta nahy hota
27
Waha na phool khilte hain na hi mosam badalte hain
Waha kuch bi nahy hota jaha par tum nahy hote
28
ye aaenay bi tumain kam pasand karte hain
inhain maloom hai tumain ham pasand karte hain
29
Apnay khawabo ko andhairon k hawalay kar k
ham nay sadqa tairi ankhon ka utara Mohsin
30
Tumain chahon andaaz badal badal kar
Mairi zindagi ka aklota ishq ho tum
31
Tum milo ya na milo muqadar ki baat hai
Sakon bohat milta hai Tumain apna soch kar
32
Koi batlao k ik umar ka bichra mehbob
itfaqan kahi mil gae to usay kya kehte hain
33
Kuch taire sabab ti maire pehlo main harkat
kuch dil nay bi is aag ko bharkaya howa ta
34
Yo hanste hanste chal basay gay aik din
agar hamari yaad aae to magfarat ki dua karna
35
Kitna asar hai tumari mohabat main jaana
Naraaz ho kar bi tum se baat karne ko taraste hain
36
Tum mujey achay ya buray nahy lagte
Tum mujey bs maire lagte ho
37
Aaj itna Qareeb aao k
G Bhar k dhaik lon Tumain
38
Ab mohabat k rang bharo muj main
Bin tumare main na mukamal hon
39
Misaal dain gay log mairi qismat ki
Tum aa jao mairi qismat k hisay main
40
Pocha kisi nay k kon c khushbo pasand hai
maine tumari saanso ka qisa suna diya
41
Dafan karne se pehle maira dil nikaal laina galib
kahi khaak main na mil gae maire dil main rehne walay
42
agar mujey maloom ho maqbool waqt e dua
Rab se kuch na mango faqat tumari khushi k siwa
43
Bs ik shaks maire dil ki zid hai
na us jaisa chahiye na us k siwa chahiye
44
Mujey kaha gaiya k mehnat karna
afsos maine nukta gira kar mohabat kar li
45
Khush rehne kaliye baad oqat
khush fehmiyo ka sahara laina parta hai
46
Jab mili ho gy usay mairi halat ki khabar
us nay aaesta se deewaar ko thaama to ho ga
47
Maine us se juda ho k bi dhaika hai
Mohabat barne k siwa kuch bi nahy howa
48
Tum nay pocha ta na k kaise ho main
Kabi bhool nahy pao gay aisi hon main
49
Ham itne khobsurat to nahy hain jaan e man haan magar
jisay ankh bhar k dhaik lain usay uljan main daal daite hian
50
Main Heer hon
Aik Bai Parwa Raanje ki
51
Husan ka kya kaam sachi mohabat main
Rang sanwala bi ho to Qatil lagta hai
52
Mairi na kamiyo par tum zara tashweesh mat karna
jisay kuch bi nahy aata mohabat us ko aati hai
53
Zarori to nahy zuban se kahain dil ki baat
Zuban aik or bhi hoti hai izhaar e Mohabat ki
54
Kuch is tarah apni palkain mairi palkon se mila lai
k anso saare apnay mairi palkon par saja dai
55
Bacha k rakha hai khud ko tairi khatir
Koi pyar se dhaike to bura lagta hai
56
Khawahish bs zindagi ki itni c hai ab hamari
k taira sath ho or zindagi kabi khatam na ho
57
Aaj mairi ankhon main sawan utray ga
Aaj bohat din baad tairi yaad aae hai
58
ik pakiza mohabat k sath
tumara sath chaho janat tak
59
Waday Mohabat k karne mujey nahy aatay
ik zindagi hai jab chahe maang laina
60
ye or baat mulaqat ho saki na magar
yaha se guzri hai koi mehak batati hai
61
Kuch na ta maire pass khone ko
Tum mile ho to dar gaiya hon main
62
Milay to hazaro log tay zindagi main
wo sab se alag ta jo qismat main na ta
63
Taire bagair bi ham
Taire hi rehte hain
64
Hanste howay chehro ko gamo se azaad mat samjo
Hazaron gham chupay hote hain halki c muskaan main
65
Jis ki fitrat ty bagawat karna
Tum nay us dil par hakomat ki hai
66
Maar do jaan se koi gham nahy par ye saza mat do
k hamare samne reh kar ham ko tum ajnabi se lago
67
Ashko ki zamant bi jaha kaam na aae
is bazm main lafzon ka yaqeen kon kare ga
68
apne dil se nikalo to maano
yo chor jana to koi kamal nahy
69
Thande Paani main phaink kar anso
Ham nay darya jala diye Sahab
70
Hamare Hone ka silsala bi
Tumare hone par munhasir hai
71
Ham dil k badshah log hain
Na mohabat badalte hain na yar
72
Dil un se ja mila
jin se muqadar nahy milta
73
Bohat dil kash wo lagte hain
jinhe ham zehar lagte hain
74
Muj ko itna bata dai
Raah dhaiko tairi k mar jaon
75
Kabi yaadain kabi batain kabi pichli mulaqatain
Bohat kuch yaad aata hai taire ik yaad aanay se
76
usay khush dhaik kar
mairi ankhain muskurati hain
77
itni dil kash kaha ty ye zindagi
ham nay jab tak aap ko chaha na ta
78
Ham tumain chahte hain aisay
Marne wala zindagi chahta ho jaise
79
Uski ankhain batao kaise hain
Jheel saif ul malok jaise hain
80
Tairi bahon main aa k bhool gae
Tay gile jitne is jaha se
81
apni muskurahat ko zara qaabo main kijiye
Dil e nada kahi is par shaheed na ho gae
82
Acha howa to bai wafa ho gaiya
Khud Garz log kisi k nahy hote
83
Kis qadar injaan hai ye silsala ishq bi
Mohabat to qaim rehti hai magar insaan toot jate hain
84
Dil tumara hai hamesha hi tumara ho ga
Kon kehta hai mujey ishq dobara ho ga
85
Kis din kya khabar tuj se bichar jaon main
Apne sath g bhar kar mujey G laine do
86
Koi kitna hi khush mizaaj q na ho
Rula daiti hai kisi ki kami kabi kabi
87
Dhaik is baraf nay kya aag laga rakhi hai
Aadhi Dunya Pagal or Aadhi Shayar bana rakhi hai
88
Jo kaha maine k pyar aata hai muj ko tum par
Hans k kehne laga or aap ko aata kya hai
89
Tairi Khushi na ho Shamil to phr khushi kya hai
Taire bagair jo guzre wo zindagi kya hai
90
Mujey tum se shikayat nahy laikin
Yaad aata hai taira muj se mohabat karna
91
itne zalim na bano kuch to murawat seekho
Tum par marte hain to kya maar hi daalo gay
92
Dil nay socha ta k usay toot kar chahe gay
Sach mano toote bi bohat chaha bi bohat
93
Milay to hazaro log tay zindagi main
wo sab se alag ta jo qismat main na ta
94
Maanta hi nahy dil tumain bholne ko
main haath jorta hon wo paon par jata hai
95
Ab to is raah se wo shakhs guzarta bi nahy
Ab kis umeed par darwaze se jhanke koi
96
Mil raha hai na kho raha hai to
Kitna dilchasp ho raha hai to
97
Tanahi ka pallo pakar lijiye sahab
is dunya main koi apna nahy
98
Sab ko maire hi baad rakhiye ga
Aap maire hain yaad rakhiye ga
99
Kisi ko batana na k bhula diya tum nay
Ham to logon se yehy kehte hain tum masroof bohat ho
100
Mujey Mohabat ho gae hai
main bach to jao gy na
101
Na jane kaisa rishta hai is dil ka tuj se
Dharakna bhool sakta hai par taira naam nahy
102
Apni ankhon ko rokiye sahab
Dil ki batain bata rahi hain mujey
103
Tot sa gaiya hai mairi chahaton ka wajood
ab koi acha bi lagay to ham izhaar nahy karte
104
Bs mohabat ham ko aap se honi ty so ho gae
Ab naseehat choriye Sath dijiye or dua kijiye
105
Na chahat na mohabat na ishq or na wafa
Kuch nahy us shaks main siwae Hussan k
106
Suna hai bik raha hai ishq bazaron main aaj
jao us ishq farosh se pocho wafa bi sath daite ho
107
kitabo ki tarah hai wo bi
Alfaaz se bharpor magar khamosh
108
Judai par hi qaim hai nizaam e zindagani bi
Bichar jata hai sahil se galay mil kar paani bi
109
Orat jab mohabat karne par aati hai
to khatam ho jati hai
110
Ham apni rayasat k badshah log
afsos tairay deedar k mohtaaj nikle
111
Mairi Rooh ki awaaz ho tum
Khaas nahy bohat khaas ho tum
112
Ab dhaikte hain kis ki jaan jati hai
maine us ki us nay mairi qasam khae hai
113
Sabar karne par aaon to mur kar bi na dhaikon
Tum nay dhaika hi nahy hai abi maira phatar hona
114
2 Line Sad Poetry in Urdu
1
Sham hote hi charago ko bhuja daita hon
Dil hi kaafi hai tairi yaad main jalne kaliye
2
Apne lehje par gor kar k bata
lafz kitne hain teer kitne hain
3
Kaha talaash karo gay tum muj jaisa shaks
Jo tum se juda bi rahay or tum se mohabat bi kare
4
Koi bi nahy ta maire pass dalasay kaliye
main apni hi bahon main sir rakh k so para
5
Gilay shikway nahy murshad
Ab bs khamoshiya
6
Ham nay charcha bohat suna ta tairi sakhawat ka
kya maloom ta tum dard bi dil khol kar daite ho
7
Log shamil tay or bi laikin
Dil tairi koshashon se tota hai
8
Kisi ko batana na k bhula diya tum nay
ham to logon se yehy kehte hain k tum masroof bohat ho
9
wo aik lamha bi jo tairi yaad k bina guzra
is pal main ham nay khud se bi nafrat ki hai
10
Aap kehtay hain to nibatay chalay gae gay ham
is taaluq main aziyat k siwa kuch bi nahy
11
Mohabat sabar k siwa kuch nahy
Maine har ishq ko intazar karte dhaika hai
12
Dil main reh kar dil dukhatay ho
Apna muqaam dhaiko or apne kaam dhaiko
13
Jo tum nay kabi ki hi nahy
Mujey wo mohabat udaas rakhti hai
14
Ab dar nahy lagta kuch khone ko
maine zindagi main zindagi ko khoya hai
15
Maazi k 4 dino nay
Cheen li mairi hansi
16
Cheen lain gay tuj ko taire hi wajood se
ishq hota hai kya ye tuj ko batlae gay apna bana kar
17
Hamari bai khudi ka haal wo poche agar
to kehna hosh bs itna hai k tum ko yaad karte hain
18
Ae kaash tum samaj sakte mohabat k asoolon ko
kisi ki saanso main sama kar usay tanha nahy karte
19
Ronay lagta hon Mohabat main to kehta hai koi
kya taire ashko se ye jangle hara ho gae ga
20
Raaton ko neend kam
taire khayal zayada aate hain
21
Main aisay ishq main bunyad e wafa kya rakhon
jaha log ishq bi karte hain mashwara kar k
22
Ham tujey u dhondte hain
jis tarah log sakon dhondte hain
23
Kaash wo moqa daita baat karne ka
ham un ko bi rula daite un k satam suna suna kar
24
Bai los wafa koi ham se sikhay
jisay toot kar chaha usay khabar na ty
25
Ab to kuch bi nahy raha dil main
Pehle afsos bi ta hairat bi
26
waise hi keh do tumare qabil nahy
Oqaat k taanay q daite ho
27
Rabte had se bar jae to gham milte hain
Ham is liye har shaks se kam milte hain
28
Mujey yaad aa rahay hain
Mujey bhool jane walay
29
Mohabat karne walay kam na hon gay
Tairi mehfil main laikin ham na hon gay
30
Qadar ho hi jati hai
magar waqt nikal jata hai
31
Choriye aap kaha samje gay
jaiye aap se gila hi nahy
32
Mohabat ty sahab
Warna Khailna hamain bi aata ta
33
Yaad aata hai roz shab koi
Ham se bichra hai bai sabab koi
34
Khamoshi se Rona
Cheek kar rone se zayada takleef daita hai
35
Kamaal ka taana diya aaj dil nay
Agar koi taira hai to kaha hai
36
Dhaik k dunya ko ham bi badle gay ab mizaaj e zindagi
Rabta sab se ho ga laikin wasta kisi se nahy
37
Suno itne qareeb aao
k saasain mashwara kar lain
38
Muqaam e Nukhta Badal gaiya
Nikhar rahay tay Bikhar gae
39
Dukh kis baat ka sahab
Aap hamare tay hi kab
40
Q ulje ho in sawalon main
Bai wafa tum nahy to ham hi sahi
41
Bai Basi hai udaasi hai or dard hai
Sab hai maire Pass bs ik tum hi nahy ho
42
Batain itni k jaise wafa un par khatam
Jab nibane ki baat aae to majboor nikle
43
Log jis cheez ka khof rakhte hain
Ham us cheez ka shoq rakhte hain
44
Ae Mohabat taire anjaam par rona aaya
Jane q Aaj taire naam par rona aaya
45
Muj main ehsas jagati hai udasi tairi
Dil wairaa mujey zalim nahy hone daita
46
Karo phr se wada kabi na phr bicharne ka
Tumain kya faraq parta hai lo phr se mukar jana
47
Tujey ujaar kar taras nahy aaya
Log mairi daastan sun kay rootay hain
48
Log deewane hain banawat k
ham kaha gae saadagi lai kar
49
Saari dunya badalti dhaiki
magar tum jo badle kamaal badle
50
Bai Panah Cha Liya
Bai Parwa Logo Ko
51
Kar k wada mukar gaiya akhair
Tu bi dil se utar gaiya aakhir
52
Maire hi haato par mairi taqdeer hai
or mairi hi taqdeer par maira bs chalta nahy
53
Khud ko chor gaiya muj main
Bhala ye jana bi koi jana howa
54
Tuj se mohabat tairi oqat se zayada ki ty
Ab baat nafrat ki hai to soch taira kya hoga
55
Umar kachi ho zehan bora ho
is jawani ka dukh samajtay ho na?
56
Bars rahi hai barish bahir
or wo bheeg raha hai muj main
57
Ta tairi zaat ka sehra maire andar warna
itni jurat k samundar mujey pyasa kehta
58
Barbaad bi kare aabaad bi kare
ishq taira koi jawab nahy
59
Batain Bhool jata hon
Bs Lehje yaad rakhta hon
60
Ye Zindagi hai Sahab
Uljay gy nahy to Suljay gi kaise
61
Tum yaad na kar k bi ache lagte ho
Khuda jane tum yaad karte to kya hota
62
Ab wo kisi or se kehte hon gay
Tum se Bichre gay to mar jae gay
63
Kis Qadar masoom sa chehra ta us ka
Dheere se jaan keh kar bai jaan kar diya
64
Dhondate Reh jao gay
Yaar hamare jaisa
65
Un umeedo ko torne ka shukriya
jo tum se lagae bhaite tay
66
Jin ki qismat main likha ho rona
wo muskura bi dain to un k anso nikal aate hain
67
Basa kar khud ko mairi ankhon main kaha chale tum
ye shehar e ishq hai yaha hijrat ki ijazat nahy
68
Kya kaha taira juram bataon?
Dhaiko ham muskura nahy sakte
69
Dalasa ham ko daine ka
Tamasha khob karte ho
70
Taira koi qasoor nahy is wafa k mamalay main
ye wafa jis ko bi milti hai wo bai wafa ho jata hai
71
Ab to hamain apna bana kar rakh lo na
sab nay mujey tumara samaj kar chor diya hai
72
Sham tak qaid raha karte hain dil k andar
Dard ho jate hain saray hi raha sham k baad
73
Nafrat hi nahy dunya main dard ka sabab
Mohabat bi sakon walon ko bohat takleef daiti hai
74
Kaanch jaise hote hain ham jaise tanha logo k dil
kabi toot jate hain kabi toor diye jate hain
75
aaj maine talaash kiya us ko apne aap main
wo mujey har jagah mila ik mairi taqdeer k siwa
76
Wo kehta ta tumain apna bana kar hi choro ga
sach kehta ta apna banaya or phr chor diya
77
Bacha kar rakha hai khud ko tairi khatir
Koi pyar se dhaike to bura lagta hai
78
Fikar karni chor di 2no nay
us nay mairi or maine apni
79
Jis k sath taswar ta jannat ka
wo insan mairi dunya hi jahanam Bana gaiya
80
2 Line Poetry in Urdu for Wife
1
Qurbat to bari cheez hai ae jaan e tamana
is dil ki tasali ko taira naam bohat hai
2
is qabar pakiza mohabat ki hai tum se
sir uta k dhaika bi to sirf paon tak
3
Tumare sang chalna hai
Shariyat k asolon par
4
Taire bina nahy milta sakon mujey kahi
kaha na maire or sirf maire ho kar raho tum
5
Dil tumara hai or hamesha tumara hi rahay ga
Kon kehta hai mujey ishq dobara ho ga
6
Main hisabo main ab nahy parta
tum ko bai hisaab chahta hon
7
Naraz ho kar bi naraz nahy hote
Aisi mohabat karte hain tum se
8
Khawahish zindagi bs itni c hai ab hamari
k taira sath ho or zindagi kabi khatam na ho
9
Nikah main bi ajeeb c taqat hai
ajnabi sa shaks jaan se pyara ho jata hai
10
Q baar baar pochte ho mohabat ki manzalain
kaha na akhari saans tak taire hain
11
Suno tum agar sath ho to
zindagi zindagi lagti hai
12
Na jane kaisa rishta hai is dil ka tuj se
Dharakna bhool sakta hai par taira naam nahy
13
Mujey 2 logon se bohat pyar hai
aik apne aap se aik apni ammi ki baho se
14
Muj ko ye khawahish hai
k tairi nisbat se pukara jaon
15
Sabab rone ka wo poche to itna kehna Qasid
Mujey hansana nahy aata jaha par tum nahy hote
16
Tumare sath ka jab se mila hai sath mujey
na jane q mujey khud se mohabat hone lagi hai
17
Friendship Poetry in Urdu 2 Lines
1
Daaway Dosti k mujey nahy aatay yar
Aik jaan hai jab dil chahay maang laina
2
Jo dil ko acha lagta hai us ko dost kehte hain
manafiq ban k rishto ki sayasat main nahy karta
3
Dam nahy kisi main k mita sakay hamari dosti ko
Zang talwaron ko lagta hai jigri yaaron ko nahy
4
Udaas mat raha kar ham se bardash nahy hota
ham to apne gham bhula daite hain tumain khush dhaik kar
5
Dushmano se pyar hota jae ga
dosto ko aazmate jaiye
6
Dosti aam hai laikin ae dost
Dost milta hai bari mushkil se
7
Muj ko ghamo nay jab charo taraf ghaira
in dosto nay muj ko har gham se hai bachaya
8
Dil sochta hai phr sochta hi reh jata hai
ye jo apne hote hain apne q nahy hote
9
Tum salamat raho hazaron bars dost
or har bars k hon din hazaar
10
Dost wo hota hai jo tumain
us waqt pasand kare jab tum kuch bi na hon
11
irada to dosti ka ta laikin
Mohabat ho gae
12
U koi chor kar nahy jata
dosti bhoj ban gae ho gy
13
Yaaron ki mehfil main yaar kam na mile gay
mil gae gay ham jaise laikin ham na milay gay
14
Dosti ka haq ada kon kare ga
ham hi na rahay to dosti kon kare ga
15
Shartain lagae jati nahy dosti k sath
kijiye mujey qabool mairi har kami k sath
16
Dil se khayal e Dost bhulaya na jae ga
Seenay main daag hai k mitaya nahy gae ga
17
Motivation Poetry in Urdu 2 Lines
1
Manzil to milay gy bhatak kar hi sahi
gumrah to wo hain jo ghar se nikle hi nahy
2
Apna zamana aap banate hain ahle dil
ham wo nahy k jin ko zamana bana gaiya
3
Shakon se toot jae wo pattay nahy hain ham
aandhi se keh dai k oqat main rahay
4
nidamat se charagon se badal jati hain taqdeerain
andhairi raat k anso khuda se baat karte hain
5
Zindagi ki yehi reet hai
haar k baad hi jeet hai
6
Ham ko mita sakay ye zamane main dam nahy
ham se zamana khud hai zamane se ham nahy
7
Khawab jin k onchay or mast hote hain
imtihan bi un k bohat zabardast hote hain
8
Manzil se aagay bhar kar manzil talaash kar
mil gae tuj ko darya to samundar talaash kar
9
Apne kal ko behtar karne kaliye
Apna aaj sanwaro
10
Mita dai apni hasti ko agar kuch martaba chahiye
k daana khak main mil kar gul e gulzar hota hai
11
Main akaila hi chala ta janab e manzil
log sath aatay gae or kaarwa banta gaiya
12
Mehnat itni khamoshi se karo k
tumari kamyabi shor macha dai
13
Un logo kaliye kamyab bano
jo tumain na kaam dhaikna chahte hain
14
Haar or jeet to apne andar hoti hai
maan lo to haar hai than lo to jeet hai
15
Tu shaheen hai parwaaz hai kaam taira
taire samne aasma or bi hain
16
unko milti nahy manzil maqsood kabi
jinko aagaz k anjaam se dar lagta hai
17
Parindo ki dunya ka darwaish hon main
k shaheen banata nahy aashayana
18
jis ka koi khawab nahy
us ka koi mustakbil nahy
19
uqaabi rooh jab baidaar hoti hai jawano main
nazar aati hai un ko apni manzil aasmano main
20
Manzil se aagay bhar kar manzil talaash kar
mil gae tuj ko darya to samundar talaash kar
2 Line John Elia Poetry in Urdu
1
Tum koi q baat nahy karte
Phir koi baat ho gae hai kya
2
Hai na mujey galat fehmiya?
Tujey jab bi likha apna hi likha
3
Khatam hone ko hai safar shayad
phir milay gay kabi magar shayad
4
Qayamat khaiz hai ankhain tumari
Tum akhir khawab kis k dhaikte ho
5
Kya satam k ab tairi sorat
Gor karne par yaad aati hai
6
Chand taaray bila waja khush hain
main to kisi or se makhatab hon
7
Ab mairi koi zindagi hi nahy
ab bi tum mairi zindagi ho kya
8
is k arooj kit y bohat aarzoo hamain
jis k arooj hi main hamara zawaal ta
9
Kitne jhoote tay ham mohabat main
Tum bi zinda ho ham bi zinda hain
10
Ham sunay or sunaye jate tay
Raat bhar ki kahaniya tay ham
11
ik tairi barabari kaliye
khud ko kitna gira chukka hon main
12
Sab samajte hain main tumara hon
Tum bi rehte ho is guma main kya
13
aaina kehta hai kehna to nahy chahiye ta
Tu abi zinda hai rehna to nahy chahiye ta
14
Maine sab khawahisho ko taal diya
apne dil se tumain nikaal diya
15
Mujey ab tum se dar lagne laga hai
Tumain muj se mohabat ho gae kya
16
Bint e adam k naram lehjo nay
ibn e adam bigaar rakhay hain
17
G hi laina chahiye ta
marte marte khayal aaya mujey
18
Nikaal daliye dil se hamari yaadon ko
Yaqeen kijiye ham main wo baat hi na rahi
19
Maire marne se kuch nahy ho ga
Maire hone se kuch howa hai kya
20
Sirf apna khayal rakhna ta
ye bi na ho saka muj se
21
Gair k dil main gar utarna ta
maire dil se utar gae hotay
22
Maire gusay ka asar kya hoga
mujey gusay main hansi aati hai
23
Kabi chand us nay kaha mujey
kabi aasmaan se gira diya
24
Jane kya waqiya hai hone ko
G bohat chahta hai Ronay ko
25
Laakh Roko magar nahy rukte
Ho baho aap par gae aanso
26
Daastan khatam hone wali hai
Tum mairi akhri mohabat ho
27
Nazrain ab kamzor ho chuki hain
Tumain ab Nazdeek aana ho ga
28
2 Line Funny Poetry in Urdu
1
Taire bina maire dil mai hai sanata
tu hi mairi chai tu hi maira parata
2
Wo tairi sochon main gum larka
apni ammi ko jaanu keh bhaita
3
suno jana
ainda aithay nazar na aana
4
Main mohabat main khayanat nahy karta warna
us ki ik sahaili bi bohat pyari hai
5
Alla deen ka charaag or make up shuda orat
2no ko ragro to andar se jin hi nikalta hai
6
main cheen lon gy tum se ye chaat or pakoray
tum mangte phiro gay sharbat or khajoor ham se
7
us ko urna pasand ta
maine goli se uraa diya
8
Pochna ye ta k ab v imran khan k jalse wich nachne nu g kar dai hai
ya thand pai gae hai
9
ishq k samundar main ghota lagaya
Paani bohat thanda ta main bahir nikal aaya
10
wo aksar muj se kehti ty
Sadqay jawa par haath na aawa
11
Mere mast mast 2 nain
Tu mera bhai mai teri behan
12
Kuch to reham kar maire dil par
dil maira 1 GB ka or yaadain tairi 32 GB ki
13
aao dard baante hain
Tum darwaze main ungali do phr mil k cheekhain marte hain
14
Sab se zayada izat almaari k kapre daite hain
jab bi almaari kholta hon 3 say 4 qadmo main aa girte hain
15
main pyar likhti rahi or pyaz parta raha
aik nuqte nay mairi mohabat ka saalan kar diya
16
Aik ajeeb lafz hai sorry
banda kahe to gusa khatam doctor kahe to banda khatam
17
Loka naal gol gapay
tay saaday naal rolay rappay
18
Jab se ainak lagi nazar wali
zehar lagne lagi hai ghar wali
19
Hai maizbani ka ye taqaza k aae mehman to muskura do
magar tabiyat ye chahati hai galay milo or gala daba do
20
Mohabat ka Meem bi nirala hai
mil gae to mian
na mile to mamo